A/N- Pata nahi main next chapter kab update kar paahungi, lekin idea aaya toh khud ko rok nahi paayi. In this story, there are our cute SachVi, Agam(Purvi's younger brother) and Sarika(Sachin's younger sister). Aage ki story khud pata chal jaayega. NO summary for this story b/c i don't even know what will i write for the next chapter. I don't have any plan for it. Zaroor padhna aur padhne ke baad review karna mat bhulna kyunki yahan pe almost sab hi ko yeh bimaari hai. Just joking :)

Sorry for all the mistakes.


One Day, Purvi was making breakfast and Agam came to her. She looked up at him and he was trying to say something.

Purvi- Ab kya chahiye, tujhe?

Agam- Haan?

Purvi- Jo bhi chahiye bol de. Sham jo laa dungi.

Agam- Di, mujhe kuch nahi chahiye. Dekh ab toh mera college bhi khatam ho gaya hai. Yaar, main 25 saal ka ho gaya hoon.

Purvi- Tu mujhe yeh sab kyun bata raha hai? 25 ka ho gaya toh kya ho gaya? Tune college toh khatam karli, lekin kya abhi tak koi kaam kiya hai? Jab tak tu doctor banke nahi dikhayega tera kuch bhi bolna bematlab hai mere liye.

Agam- Doctor toh main ban hi gaya hoon, Di. Ab kuch hi dino baad tu mujhe doctor pe rup mein dekh paayegi.

Purvi- Aaj itna natak kis liya kar raha hai, tu?

Agam- Di, dekh pehle tu mujhse promise kar ki tu mujhe daantegi nahi.

Purvi- Nahi daantungi. Ab tu 25 saal ka ho gaya hai toh main tujhe kaise daant sakti hoon?

Agam- Daant sakti hai tu mujhe. Meri Di hai tu.

Purvi- Haan, bol. Kya bolna hai? Agar mujhe teri baat acchi nahi lagi toh tujhe daantungi nahi tappad marrungi.

Agam- Yaar, Di, woh...

He went near her and held her hand. Purvi gave him a surprised look.

Agam- Di, agar aaj main yahan hoon toh sirf teri wajah se hoon. Humare Maa Baba toh bahut pehle hi humein chod kar chale gaye hain. Mama ji bhi 5 saal pehle hi humein chod kar chale gaye. Tune mujhe Behen ban kar nahi ek Maa ban kar paala hai. Humein humare Mama ji ne paal kar itna badha kiya hai, lekin main sirf teri wajah se aaj itna padh paaya hoon.

Purvi- Agam, tu itna natak kis liye kar raha hai? Mangna chahta hai toh seedhe seedhe mang. Maine tujhe aaj tak kabhi manna kiya hai jo aaj karungi?

Agam- Di, tune aaj tak mere liye sab kuch kiya hai toh kya tu mera ek aur kaam karegi?

Purvi- Kaisa kaam?

Agam- Di, tappad mat marna.

Purvi- Pehle bol toh sahi.

Agam- Actually, woh kya hai na Di, woh...

Purvi- Baat kya hai aakhir? Tu itna ghabra kyun raha hai?

Agam- I am in love, Di.

Purvi laughed hearing him and he looked at her seriously.

Agam- I am not joking. Tu has kyun rahi hai?

Purvi- Khud ko dekha hai aaine mein?

Agam- Of course dekha hai. Bahut handsome aur hot hoon main.

She laughed more.

Agam- Dekh, agar tu mujhse thoda bhi pyaar karti hai toh hasna band kar.

She stopped laughing.

Purvi- Agam, tu kisi se pyaar karta hai?

Agam- Huh...

She wanted to laughed, but controlled her laughter.

Agam- Yaar, main serious hoon. Mujhe toh laga tha ki tu mujhe samjhegi, lekin tujhe kya pata ki pyaar kya hota hai?

Purvi- Mujhse zyada aur kisko pata ho sakta hai ki pyaar kya hota hai?

Agam- Tune jisse pyaar kiya tha woh toh kisi aur se pyaar karta tha. Ab toh zindagi mein bahut aage bhi badh gaya hoga woh.

Purvi- Main uss baat ko yaad karna nahi chahti, Agam.

Agam- Haan toh mujhe samajh na.

Purvi- Bata, kya chahta hai tu mujhse?

Agam- Ab humare Maa Baba toh hain nahi aur naahi ab Mama ji hain. Issi liye main chahta hoon ki tu Sarika ke ghar jaa kar uske Bhai se shaadi ki baat karle..

Purvi- Tujhe shaadi karni hai?

Agam- Nahi, main shaadi tab tak nahi karungi jab tak tu nahi karegi.

Purvi- Main iss janm mein shaadi nahi karne wali hoon.

Agam- Tu abhi tak uss ladke ko bhula nahi paayi hai?

Purvi- Bhul chuki hoon main usse, lekin main agar shaadi karungi toh sirf usse karungi jisse main pyaar karungi aur mujhe nahi lagta ki mujhe dubara pyaar hoga.

Agam- Tujhe mere liye bhi shaadi karni hogi.

Purvi- Dekh, Agam. Shaadi aisi waise cheez nahi. Pehle tu ek kaabil doctor ban ke dikha. Pyaar ka matlab main samjhti hoon, lekin tu abhi shaadi karte kya karega? Pehle apna career banna aur baad mein shaadi, haan?

Agam- Pata tha mujhe ki tu yehi bolne wali hai. Meri hi galti hai. Maine socha ki tu mujhe samjhegi.

Purvi- Main samajh rahi hoon, Agam. Bahut acche se samajhti hoon main. Aur mujhe pura yakeen hai ki tune jisse bhi apne liye chuna hoga woh acchi hi hogi.

Agam- Di, main abhi shaadi karna nahi chahta.

Purvi- Toh phir mere wahan jaa ke uske Bhai se baat karne ka kya matlab?

Agam- Di, main nahi chahta ki uska Bhai uske liye ladka dekhna shuru kar de. Sarika aur main ek dusre se bahut pyaar karte hain, Di.

Purvi- Matlab tu yeh chahta hai ki main uske Bhai se tum dono ke baare mein baat karoon taaki woh uske liye ladka dekhna shuru naa karde?

Agam- Haan. Agar uske Bhai ko pata chalega toh woh aur ladke nahi dekhenge. Shaadi toh 2-4 saal baad bhi ho sakti hai.

Purvi- Thik hai. Tu mujhe Sarika ka Bhai ka number de. Main phone pe baat kar lungi.

Agam- Phone pe nahi, Di.

Purvi- Toh phir?

Agam- Tujhe ghar pe jaana hai.

Purvi- Ghar pe? Agam, tu pagal ho gaya hai kya?

Agam- Mere liye please.

Purvi- Arre toh uska Bhai bhi toh kaam pe jaata hoga na?

Agam- Ab Sarika ko bhi uska Bhai ne hi paala hai toh kaam pe toh jaata hi hoga.

Purvi- Agam, tujhe sambhal ke baat karna sikhna hoga. Jaata, aata, khata, peeta. Kya hai yeh sab? Main toh teri Di hoon tujhe bachpan se jaanti hoon, lekin tujhe dosron ko toh respect dena hoga na?

Agam- Uske saamne toh main usse aap hi kahunga. Yahan sirf hum dono hi hain toh kya hoga?

Purvi- Thik hai. Tu mujhe address de Sarika ka.

Agam- Tu jaayegi wahan?

Purvi- Nahi jaahungi toh tu mujhe kha jaayega. Aur mujhe itni jaldi marna nahi hai.

Agam- Arre haan haan, tujhe toh abhi mere bachche dekhne hain.

Purvi(holding his ear)- Sambhal jaa.

Agam(removing her hand)- Sorry...

She smiled and he also smiled.

Agam- Di, i am sorry. Meri wajah se tu late ho gayi. Dekh 8 bajne wala hai.

Purvi- Late toh main hamesha hi hoti hoon.

Agam- Breakfast ban gaya?

Purvi- Haan. Ab main ready hoke aati hoon. Tab tak yeh sab kuch plates mein ready karke rakhna. Main aahungi khahungi aur jaahungi. Aur ek baat, tu mujhe aaj Bureau drop karega.

Agam- Di, mujhe Sarika se milne jaana hai.

Purvi- Haan toh mujhe pehle drop karde aur jaa.

Agam- Maine usse 8 baje bulaya hai.

Purvi- Thik hai. Main hamesha ki tarah chali jaahungi, lekin mere jaane ke baad plates dho kar saaf tu karega.

Agam- Kya?

Purvi- Haan.

Agam- Thik hai. Aaj ek din kar lunga tere liye.

Purvi- Mere liye nahi khud ke liye. Sikh jaayega ghar ka kaam karna.

Agam- Ab jaldi jaa.

She ran to her room and he served the breakfast on the plates. After some minutes, Purvi came and both of them ate their breakfast. She went after finishing and Agam sadly had to wash the plates.

In Bureau

All were working and someone noticed Purvi coming inside while murmuring to herself. He smiled seeing her worried face.

Purvi(murmuring)- Aaj phir se late ho gayi. Sab Agam ke wajah se. Pata nahi kya karoon main iss ladke ka. Bhagwan karein ki ACP kisi meeting mein gaye hon.

The person continued his work while smiling and she entered inside. She looked at each and every person in there and smiled.

Purvi(smiling)- Thank god ki ACP sir nahi hain. Marte marte bach gayi.

ACP- Main yahin hoon, Purvi.

She turned in surprise and became shocked seeing ACP at the door. The person smiled more seeing her expression and came to them.

ACP- Main jaanta hoon ki tum phir se late aayi ho.

Purvi- Sir, woh darasal baat yeh hai ki...

ACP- Baat jo bhi ho, lekin CID officer ke liye personal kaam koi maaine nahi rakhta.

Purvi- Sir, woh...

Person- Sir, aap jo bhi samajh rahe hain woh...

She turned and looked at the person.

Person- Aap galat samajh rahe hain, sir.

ACP- Lekin Sachin, Purvi ko maine abhi aate huye dekha hai.

Sachin- Sir, woh mere kehne par HQ ek file submit karne gayi thi.

ACP- Kaunsa file?

Sachin(thinking of an idea)- Sir, woh... Huh... Woh jo...

ACP- Main tumhe bewafu dikhta hoon kya?

Sachin- Na... Nahi, sir. Aisi koi baat nahi hai.

ACP- Toh phir mujhse jhut kyun bol rahe ho?

Sachin turned and looked at Purvi.

ACP- Sachin, tum hamesha koi na koi bahana karke Purvi ko bachane ki koshish karte ho, lekin tum jhut bolna nahi jaante.

Sachin- Sir, woh...

ACP- Purvi, mujhe pata nahi hai ki tum hamesha kyun late hoti ho, lekin i hope jo bhi reason hai accha hi hoga. Lekin aajse agar tum late huyi toh accha nahi hoga.

Purvi- OK, sir.

ACP went from there and SachVi turned to each other.

Sachin- Sorry, Purvi. Main kabhi tumhe bacha nahi paata. Kya karoon? Mujhe jhut bolna acche se nahi aata.

Purvi- Sir, aap sorry kyun bol rahe hain? Aap ek hi toh hain yahan jo mujhe support karte hain.

Sachin- Maine tumhe aise hi support nahi kiya hai.

Purvi- Waise aap hamesha meri support kyun rahe hain?

Sachin- Main bhi late hota hoon hamesha so i can understand your problem. Waise tum hamesha late kyun hoti ho?

Purvi- Mera ek Bhai hai. Gaadi sirf ek hai aur hum do hain. Usse college jaana padhta hai toh main hamesha taxi ya kabhi kabhi bus se aati hoon aur aate aate late ho jaata hai.

Sachin- Tumhari aur meri problem similar hai.

Purvi- Kaise, sir?

Sachin- Meri bhi ek Behen hai. Hamesha yahan aane se pehle usse college mein drop karna padhta hai. Lekin abhi uska chutti hai toh aaj jaldi aa gaya.

Purvi- Behen hoti toh accha hota, lekin kya karoon? Bhai hai. Humara gander different hai toh humari ek bhi baat nahi milti.

Sachin- Waise tumhara Bhai ka bhi toh college chutti huya hoga, nahi?

Purvi- Haan, sir, lekin keh raha tha ki girlfriend se milne jaana hai toh main gaadi mein nahi aa paayi.

Sachin- Haan toh woh tumhe drop kar sakta tha.

Purvi- Agar woh mujhe drop karne aata toh plates kaun dhota?

Sachin(smiling)- Seriously?

Purvi- Kyun?

Sachin- Nahi, kuch nahi. Lekin kal se jaldi aana. I hope kal tumhara Bhai apni girlfriend se milne nahi jaayega.

Purvi- Nahi, sir. Main kal se time pe aahungi.

Sachin- I hope so.

He went from there while smiling.

Purvi(relaxed)- Chalo. Ab Bureau bhi aa gayi aur ACP sir ka saamna bhi ho gaya. Sachin sir ne hamesha ki tarah bachane ki koshish bhi ki, lekin fail ho gaye. Ab apna kaam karti hoon.

She went to her work.


If you want me to continue then please leave your review.