A ten year old girl was seating in the courtyard of her house, playing with a doll…meanwhile a bulky boy of nearly same age as her came there and sat beside her, he was busy in eating a sandwich.

Girl (excited) - Kaddu! acha hua tu aa gaya! chal, hum dono ghar ghar khelte hai!

Boy (stop eating) - mujhe nahi khelna ye ladkiyo wala game.

Girl - okay! mat khel….mai Sanju (neighbour) ko bolti hu mere saath khelne ke liye…meri doll ko mumma aur papa dono ki jarurat hai to ab meri doll ke papa ka roll Sanju play karega.

Boy (shocked) - tu aisa kaise kar sakti hai? nahi! teri doll ke papa ka roll to mai hi play karunga.

Girl (happily) - okay! tu pehle ye sandwich side mai rakh de.

Boy (hiding the sandwich behind his back) - nahi! mai apna sandwich khatam karne ke baad hi khelunga.

Girl - kitna khayega tu! 98 kg ka to tu hai hi, bahut jaldi 100 kg ka ho jaayega…Kaddu Kahi kaa!

Voice - Rajat! Purvi! khana ban gaya hai, aa jaao dono.

Rajat (excited) - chal khana khane chalte hai!

Purvi - nahi! mujhe ghar ghar khelna hai.

Rajat (holding his stomach) - lekin mujje bahut bhukh lagi hai aur kaaki maa itna acha khana banati hai…his mouth waters…soch ke hi mere muhh mai to paani aa raha hai!

Purvi - abhi 2 minute pehle hi to tune sandwich khaya, itni jaldi tujhe bhukh bhi lag gai…itna khayega to ek din gubbare ki tarah fatt jaayega.

Rajat (loudly) - Kaakiiiiii Maaaaaa! Kaaakiiiii Maaaaaa!

Purvi (irritated) - harr choti se choti baat ke liye maa se complaint karne ki jarurat nahi hai!

Purvi's mother came there running hearing Rajat's voice….she moved close to Rajat.

PurviM (concerned) - kya hua mere laddu ko?

Rajat (complaining) - kaaki maa dekhiye na ye Purvi mujhe khana nahi khane de rahi…ye bol rahi hai ki mai kha khakar gubbare ki tarah phul gaya hu.

PurviM - ye mai kya sunn rahi hu Purvi? teri himmat kaise hui mere bache ko aisa sab bolne ki.

Purvi - maa! aapne iss kaddu ko jyada hi sar par chadda rakha hai…agar aise hi chalta raha na to ek din ye Kaddu, Gubbare ki tarah fatt jaayega.

PurviM (angrily) - Purvi!

Purvi (upset) - aap humesha issi ki side leti ho….she looked at Rajat….Kaddu! tera apna ghar nahi hai kya? pure din mere ghar mai pada rehta hai.

Rajat - Kaaki Maa! dekha aapne?

PurviM (angrily) - bahut ho gaya Purvi! mere laddu ke baare mai agar tune ek shabd aur bola to acha nahi hoga tere liye.

Purvi shot a deadly glare to Rajat, he smiled victoriously and hugged Purvi's mother.

Purvi (angrily) - aaj se teri meri katti! meri Doll ka papa ab Sanju hi banega.…she ran outside, picking her doll

Rajat (upset) - kaaki maa! Purvi mujhse katti ho gai…ab mai kya karu?

PurviM - maan jaayegi vo! tu pehle chal aur kuch khaa le…she cupped his face…mera bacha, kitna dubla ho gaya hai.

Rajat - kaaki maa ek aap hi ho jisse meri fikar hai, varna maa bhi iss Purvi ki hi side leti hai…he made a face

PurviM (smiling) - mene tere favourite aloo ke parathe banaye hai!

Rajat gets very excited hearing this and without wasting any second run inside and started eating happily.

Purvi was playing "Ghar Ghar" with her neighbour Sanju but she was not looking happy.

Sanju (concerned) - kya hua Purvi? tu itni sad kyu hai?

Purvi - Vo Kaddu ussko to mai chodungi nahi…usski vajah se humesha mujhe maa se daant padti hai.

Sanju (understanding) - uss Gubbare ki hawa to nikaalni hi padegi…mere paas ek idea hai!

Purvi (excited) - kaisa idea?

Sanju moved forward and narrated her the idea in her ears.

Purvi (impressed) - ye to bahut acha idea hai…bahut hawa mai udd raha hai ye "Kaddu" aajkal…ready ho jaa mere "Kaddu" tera jameen par vaapas aane ka time aa gaya hai...she smiles evilly

Sanju and Purvi shared a hi-fi and again got busy in playing their game.

A/N - I hope it was not that bad…please do review and let me know should I continue it further or not?