AUTHOR'S NOTE: aa gayi mai wapas.. belated Happy dussera, Subho bijaya... And Happy laxmi Puja.. Happy kali puja.. Happy diwali.. abhi to hai festival season.. so enjoy but safely..

Again the main idea is given by Krittika didi. :).. and the responsibility of implementation is on me.. so keep reading.. aap sab ko achha lagega to hi mujhe achha lagega.. so let's start..

THE STORY:

"Oh sorry sorry sorry.. aapko lagi to nehi?"

"nehi nehi mai thik hu."

"aayiye aap.. mai aapko aapke ghar tak chod deta hu"

"uski koi jaroorat nehi hai.. mai chala jaunga.. waise bhi sath mei bike to hai hi mera. "

"dekhiye.. aapke peir mei chot lagi hai.. aapko to dressing bhi karwana hai na? to mai aapko doctor..."

"mai khud kar sakta hu dressing.. docotor ke pas jane ki koi jaroorat nehi hai.. aap fikar mat kijiye.."

"mere waja se aapko chot aa gayi"

"aap aisa bilkul mat sochiye.. us dusre car ko bachana chahte the aap aur usi chakkar mei mere bike se takkar ho gayi.. aur sab kuch itna fast ho gaya ki mai bhi bike ko dusri taraf move nehi kar paya. aap pareshan mat hoyiye.. mai bikul thik hu.."

"you're sure na?"

"yah, absolutely"

"ok.."

"ok bye."

"take care"..


"Good Morning sir"

"Morning Abhijeet.. aao.. kisiko tumse milwana hai.. aao mere sath" (they were walking along the balcony and while talking )

"kaun hai sir?"

"ek naya officer join kia hai.. aaj hi"

"oh achha"

They entered the bureau.. All greeted them..

"Good Morning sir.."..

Both replied them..

"Abhijeet. yeh hai humara naya sathi.."

"Good morning sir.." And he forwarded his hand towards Abhijeet to shake hand..

Abhijeet(shook hand with him.. but he was surprised): Morning.. are tum to wohi ho na jisko maine usdin dhakka mar dia tha..

Acp sir: kya! Abhijeet! tumne?

Abhijeet: haa sir..

"nehi nehi sir.. aare Abhijeet sir.. aap to mujhe sharminda kar rehe hai.. wo to bas chotasa ek accident tha.. us mei aap ki kya galati?"

Abhijeet:phir bhi.. jo hua achha nehi hua.. waise usdin to tumhara naam pucha hi nehi.. Naam kya hai tumhara?

"jee Daya"

Abhijeet: ok.. nice name aa.. nice to meet you again..

Daya:same here.. mai to surprised ho gaya aapko yaha dekh kar..

Abhijeet: mai bhi yaar..

Acp sir:achha suno tum log baatein karo.. mai jara Salunkhe ka khabar leke aata hu.. in the mean time agar koi case report hota hai to mujhe call kar dena.. hmm?

Abhijeet: sure sir.. aap jaiye..

Acp sir left the place..

Abhijeet: to Daya.. sabke sath pehechan ho gayi hai na?

Daya: haa sir..

Abhijeet: aur sab ne bata dia hai na tumhe ki Abhijeet sir kitne bure insaan hai..

Daya(strongly): nehi sir.. bilkul nehi.. sab to bol rehe the ki aap bohot achhe hai..

Sudhakar: Sir Daya bhi bohot achha hai..

Abhijeet: achha?

Freddy: haa sir.. aate hi inhone hum sab ki dil jeet li hai..

Asha: haa sir.. yeh baat to bilkul sahi hai..

Abhijeet: aare wah.. do din kya mai chutti manane gaya tum log to mujhe bhul ke Daya ko aapna lia.. haa? bhul geye na sab mujhe?

Daya(ashamed): sir aap...

Freddy: yeh aap kya keh rehe hai sir?

Abhijeet: haa haa sab pata hai mujhe..

Daya: nehi sir.. aap shayed galat samjh rehe hai..

Abhijeet: are relax Daya.. mazak kar raha hu.. hum sab yaha ek family ke tarha rehete hai.. to us hisab se hasi mazak bhi chalta hi reheta hai.. ok? so be free.. hmm? kya Freddy tum bhi.. serious ho geye?

Freddy: kaha sir? mai bhi to mazak kar raha tha..

Abhijeet(smiled): dekha? ho gayi na tasalli?

Daya(nodded in yes): yes sir..

The day went well .. without any case..

In evening.. all were going home..

Abhijeet: are Daya.. tum bike le kar aaye ho kya?

Daya: haa sir..

Abhijeet: mujhe lift doge please? mera gari to gaya kam se lag raha hai..

Daya sure sir.. aap aayiye na..

Abhijeet: ok. phir mai gari yehi chod deta hu.. aur mechanic ko call kar eeta hu. wo yehi se utha lega..

Daya: jee sir..

Daya started his bike..

Daya: sir zara rasta bata dijiyega..

Abhijeet: yaha se sidha chalte raho aankh band karke.. mera ghar aa jayega..

Daya(smiled): ok..

Abhijeet: waise tum kaha jaoge?

Daya: sir us din jaha accident ho gaya tha na..

Abhijeet: haa..

Daya:wohi se left..

Abhijeet: OO to phir tum mujhe wohi chor dena.. mai chala jaunga..

Daya:nehi sir.. mai aapko chor kar wapas aajaunga. koi problem nehi hai..

Abhijeet: nehi yaar.. bekar mei kyu utna dur jaoge? tum chale jana.. mai chala jaunga..

Daya: sir aapka ghar ka address pata karke aaunga aaj..

Abhijeet(laughed): to phir chalo..

Daya smiled..

Abhijeet: waise tum bohot lucky ho Daya.. aaj tumhara first day hai.. aur aaj koi case report nehi hua.. nehi to tumhara halat kharab ho jata pehele din hi.. aur tum darr jate..

Daya: nehi sir.. agar pehele hi darr jaunga to kaam kaise karunga?

Abhijeet: tha's the spirit..

Daya: aapka pehela din cid mei kaisa tha sir?

Abhijeet: ummmm.. ek case to aaya tha.. par mai bas observer tha us case mei.. Acp sir khud mujhe guide kar rehe the..

Daya: wow sir.. yeh to bohot achhi baat hai... sir ek baat puch sakta hu? If you don't mind..

Abhijeet: haa pucho na..

Daya: aapka naam Abhijeet kisne rakhha?

Abhijeet: meri dadi ne.. kyu?

Daya(in low tone):dadi!

Abhijeet: papa ki maa..

Daya: haa.. nehi.. mai samjh gaya..

Abhijeet: aur tumhara naam kisne rakhha?

Daya: kaunsa naam?

Abhijeet: kaunsa naam matlab?

Daya(laughed): sir.. mera to 108 naam hai.. waise mera official name Daya.. yeh naam mere sir ne rakhha tha..

Abhijeet: sir! sir matlab?

Daya: wo bohot lambi kahani hai sir.. kabhi fursat mile to baad mei bataunga..

Abhijeet: haa haa kyu nehi? aab hamari safar bhi lambi hogi na.. to fursat bhi mil jayega.. lambi kahani sunne ke liye.. hai na?

Daya: na mile to hi achha..

Abhijeet: are yaar.. tum to boring aadmi nikle.. tumhe fursat nehi chahiye hai?

Daya: chahiye hai na sir.. par yeh sab bakwas baatein karne ke liye nehi..

Abhijeet: wo tum sunne wale ke upar chor do.. achha suno.. mai bohot talkative hu thik hai.. do min mujhe chup nehi kara sakta koi.. so baatein karte raho..

Daya: are waha sir.. talkative to mai bhi hu... achha hua yeh..

Abhijeet: achha yeh batao.. tumhare ghar mei kaun kaun hai?

Daya: bhai behen hai sir..

Abhijeet: aur mummy papa?

Daya: nehi hai sir. bachpan kho chuka hu..

Abhijeet: oh.. I'm so sorry..

Daya: no sir.. it's ok..

Abhijeet: achha tum jo bol rehe the na.. sir.. wo kaun hai? wo bhi tumhare ghar mei rehete hai kya?

Daya: kaha na sir.. lambi kahani hai.. bas itna jan lijiye ki woh mere ghar mei nehi. hum sab unke ghar mei rehete hai..

Abhijeet: achha tum unke ghar mei... Ooo.. yaar Daya.. tum na bohot confusing baatein karte ho..

Daya: sorry sir..

Abhijeet: aur sorry bhi bohot jyada bolte ho..

Daya: sorry sir..

Abhijeet: phir se?

Daya: uppss.. sorry sir..

Abhijeet: hey bhagwannnn.. tum bike chalao chup chap..

Daya: nehi sir mai...

Abhijeet: haa thik hai thik hai.. samjh gaya hu mai.. aab chalo bhi..

Abhijeet sir ka character kuch different lag raha hai na? (Krittika di, without your permission haa.. marna maat.. :( ).. Friends.. aap sab ko yeh change kaisa laga? thik lage to bhi batana.. achha na lage to bhi batana.. ok?

be happy.. make happy :)