This is my update after long days

pls look the last chapter if you want to know about the characters

note :tarika also works in a bank and both raju and tarika works n different banks

raju came to his house and was dreaming about tarika and himself ,,

he looked at his father who is looking at some photos

"aap kya dekh rahe h papa"raju asked

'huh,dikhayi nahi deta kya ,,ladkiyon ki tasveere dekh raha hun'

"aap is umr me shaadi kaise kar sakte hai,,aap mamma ko dhoka nahi de sakte hai ,,aur mai aisa nahi hone dunga"

'hogaya tera,,mai ye tasveere tere liye dekh raha hun,,,ye dekh is ladki ko ,he showed a picture of a woman who is very fat'

"mai itni moti ladki ke saath kaise shaadi karsakta hun "

' tujhe kuch nahi pata ,,dekh agar is ladki ke liye dahej me hum ek lamba haar aur kamar pe jo pehente hai ,,sone ka ,,bus wahi puchenge ,,isse hame bohat labh hai'

"tum kitne laalchi ho ,,chii,"

'arey pasand nahi aayi kya ,,koi baat nahi,ye dusri ladki dekh ,,bohat achi hai naa ,,sirf tang toota hai'

"mai asie kaise handicapped ladki se shaadi kar sakta hun "

'arrey!kyun who log insaan nhai hote kya,is ladki ka tho crores ka property hai,,shaadi ke baad sab kuch tera hoga na'

"dekho mujhe nhi pata ki yeh kon hai par mujhe ise shaadi nahi karni "

' koi baat nahi mere paas bohat sari ladikiyon ke photos hai'

"muje na tumhari dekhi hui ladkyon se shaadi nahi karni hai ,,maine apne liye ladki dekh li hai "

'kya baat kar rahe ho '

"haan "

'acha ,ladki ke paas bohat paisa hai kya'

"nahi,shaadi bhi hamare paison se karni padegi"

' mai iss shadi ke liye raaaji nahi hun'he sounded anger

"mai aapka permission nahi puch raha hun ,,sirf bata raha hun "

'teri itni himmat ,tu mere pe chillayega ,agar mai chahta hun tho abhi tujhe is ghar se nikaal sakta hun '

"haan tho theek hi,,mai khud chala jaata hun na "raju was angry and went outside

here harish thought of something"agar isse ghar se bhej dunga tho mera khana peena kaise chalega"

"arey beta roko na,,mai bus mazaak kar raha tha ,,tu tho sach me chala gaya"

' mai bohat serious hun papa'

"arey ! mai ussi ladki se teri shaadi karunga na jise tu pyaar karta hai"

raju was happy and hugged his father"tq papa"

AFTER TWO MONTHS

Mumbai

cid bureau

a person was looking at a picture and smiling to himself

freddy saw this and thoyght to ask

"sir"

'haan freddy'

"aapse ek baat puchu kya"

'haan pucho na'

"ye aap kiski tasveer ko dekh ke muskurate rehte hai "

'ye! kuch bhi nahi 'a slight blush was appeared on his face

"pls sir bataiye na,,lagta hai koi khas hai ,,isliye aap unhe dekhte rehte hai"

'haan freddy ,,bohat khas hai mere ye '

"kahi pyaar vyaar ka chakkar tho nahi "freddy joked

' aisa he kuch samaj lo '

"bas kal ka intezaar hai phir hum dono ek honge "he thought to himself

"sir hame tho party chahiye ,,aap kisi se pyaar karte hai ,,aur wo bi chupke chupke ,,aur aapne hame bataya tak nahi "

' arey aisi koi baat nahi freddy ,,time kaha mila tum sabko batane ka'

"acha sir! muje aapki love story sunna hai ,,pls bataiye na"

' love story jaisa kuch nahi yaar ,,bus hum dono ne degree join kiya tha aur mai usse crush hua tha ,,par usse nahi,,bas meri taraf dekh ke muskurati thi ,,phir maine bohat koshish ki usse apni dil ki baat batane but mujhse ho nahi paaya ,,phir mujhe training ke liye Mumbai aana pada ,,pata nahi ki wo kaisi hai,,shaadi hogayi ya nahi ye bhi nahi pata ,mai kal jaa raha hun usse milne pune "

"aapki story me sacchai hai ,,dekhna zaroor wo aapse shadi karegi,mai ye dua karta hu bhagawan se "

'thank you freddy'

abhijeet got a call

" chalo freddy hame pune jaana hai,,ek khoon hua hai"

'lagta hai kismet bhi chati hai mai tarika se milu 'he thought to himself

next day at crime spot

abhijeet investigated some people there and collected some evidences

"freddy! samaj me nahi aaraha ki iski mout hui tho hui kaise ,,ek kaam karo body ko forensic lab bhej do ,ab salunkhe saab he batayenge ki iski mout hui kaise"

abhijeet was giving instructions but his eyes fell near a auto which was going in that way ,,he was hell shocked by seeing that person

*****************to be continued*************

ab sochiye ki kya hua hoga ,,aur aur review me batana zaroor

pls review guys