Hello nmstey adab sat sri akal…arrey nhi pehchana lo g bhul gye mujhe toh…main hoon aapki dost Mithi….aya yaad…aaj main le k ayi hue k nyi sair aapke liye..is samne vale gaon ki…..chlenge na aap…pr ek problem ha…dukhi atma bnba diya mujhe toh
yr dekho na main kya kru….ek toh itni grmi uprse mein sidha apne shehr se is gaon ayi ek dost ki shadi k liye….aur uprse yeh log 2 ghnte ho gye mujhe jane nhi de rhe….bol rhe nhi jana … ab aap hi btao…
bus ne mujhe vo samne wale stop pe utara…aur samne yeh rasta….mujhe bus ne glt gaon utaar diya…toh mujhe pta chla is samne wale raste se sidha main apne gaon Raigadh ja skti hoon..ohh yeh gaon yeh Surajgadh ha ….. aur yeh is gaon ki LOC(line of control) yahan real LOC se bhi zyada security ha….yeh sidhe sidhe raste ko jazeeron aur bandookon se jkd diya…na us trf se koi yahan a skta na is trf se koi vahan…..yr jb yeh rasta mujhe 10 minute mein meri manzil pr puhnch skti hu toh….vo 45 minutes wala lmba puliya(bridge) wale raste se kyun jau…..dmag khraab kr rkha ha…chl kr gyi toh halt khraan ho jayegi meri….
Ab aap hi btao yeh 2016 ha koi 16-17 sadi(century) ki dushmani ko ab tk yaad rkhta ha aur yeh dono gaon uff pta nhi kon se era mein jee rhe ha…..
Aise kya dekh rhe ho yeh sch ha..yeh log ab tk apni sadyion purani dushmani nibha rhe ha…yeh gaon jiski zameen pe main khdi hoon vo Surajgadh raja maharajaon ka shahi gaon..aah bhi bht mante ha log inhe….chhoti moti preshaniyo k liye court kcheri jane k bjaye log is Raaj pariwar k paas ate ha…..aur yeh samne us LOC k paar jo gaon ha vo ha Raigadh gaon…Rathoure's rehte ha yahan…yeh koi shahi pariwar toh nhi ha pr shaan-o-shaukat mein kisi shahi pariwar se km nhi ha….Desh mein hi nhi puri duniya mein danka bjta ha inka…..
Ab aap soch rhe honge k dushmani ki vjh kya ha..hai na…toh chlo main hi bta deti hu…kehte ha bht Purani baat ha…..yhi koi 16 sadi(century)ki…..Us wqt yahan Surajgadh rajya k log bht hhi such aram se rehte the…Us wqt Maharaja Bikram Pratap Singh Suryavanshi ka raj tha…kehte ha k Maharaj bht hi dyalu (kind) the….vo hmesha apne logo ki bhlayi mein kaam krte the…..Maharaj geet sangeet aur Kala k shaukeen the…unke rajya mein kalakaro ka bht samaan hota tha…..ek din yunhi ghumte ghumate ek bnjaro ka dal is rajya mein aya….kisi ne unhe btaya k Maharaja Kala premi ha…toh Bnjaro k sardar Jaswant ne socha k hum log bhi apni kala ka pardarshan maharaja k samne krenge….
Banjaro ki toli ne Maharaja k darbar mein apni kala k jauhr dikhaye…Maharaj bht prasann huye…unhone singhasan se uth kr Bnanjaro k sardar ko gle se lga liya…aur
"Sardar Jaswant hum aapse aur aapki kala se bht khush ha..hum aapko Surajgadh rajya k shahi kalakaar ghoshit(announce) krte ha…aur aaj se aap aur aapka dal is mehel mein pure samaan k sath rhenge….",Maharaj Bikram ne khush hote huye kaha
"Maharaj aapne hmein itni izzat di hum uske bht shukarguzaar ha pr hum is mehel mein nhi reh skte…hmare purvajo se le kr aaj tk hum galli galli gaon gaon ghumte hi aye ha…yun chht k niche rehna hmare asoolon k khilaaf aur vo is trh alishaan zindagi toh bkul bi nhi",Jaswant ne bhavuk hote huye kaha
"thik ha aap mehel mein nhi rehna chahte mt rhiye pr aap humse vada kijiye aap hmara rajya chhod k nhi jayenge…..ek dost apne dost se yeh vachan chahta ha", MaharajaBikram ne apna hath unki trf bdhate huye kaha
"agr baat dosti ki ha toh hum banjare apni jaan de denge pr vachan puri shhidat se nibhayenge",SardarJaswant ne unka hath thamte huye kaha
"hmein aapse yhi umeed thi..hum ghoshna krte Rajya ki sarhad pe jo 100 acre zmeen ha vo hum Shahi kalakaaro k naam krte ha…aaj se yeh log vhi rhenge..aur inhe vhi samaan milna chahiye jiske yeh haqdaar ha…..",MaharajaBikram ne darbar mein ghoshna ki….
SardarJaswant ne bhi sehmeti jtatyi…
Us din k baad Banjaron ki bsti us rajya mein bs..kyi saalon tk Maharaja aur Sardar ki dosti yunhi nibhti rhi…Maharaja Bikram ne bdhti umr k chlte apne bête Yuvraj Somendar Singh ko Raja bna diya…pr Vo apne pita se bilkul alg tha….vo bht ghamandi aur atyachari tha…..uske satta mein ate hi Usne Banjaro ko drakinaar kr diya….unka samaan bht km ho gya….Banjaaro aur Suryavanshiyon k beech khtaas ane lgi..bht se banjare yahan se jana chahte the…..pr Sardar k vachan se bndhe sb vhin the….. pr vo roz roz k atyacharo se vo sb dukhi the…..
Pr is dushmani se anjaan in sbse befikr 2 log Maharaja Somendar Singh k bête Yuvraj Inderjeet Singh aur Sardar Jaswant ki beti Gujriya dono k beech nazdeekiya bdh rhi thi….Dono apne prem ki duniya mein gum the….Khush the..pr yeh darr unke andr tha knhi sb ko pta chl tb….un dono ne yahan se knhi dur jane ki yojna bnai..k ab vo log yahan nhi rhenge..is nfrt aur dushmani se dur vo loga apne pyar ki duniya bsayenge…..
"Yuvraj kya hum sahi kr rhe ha", Gujriya ne unka hath thamte huye puchha
"ab hmare paas koi aur rasta nhi ha..aapke pita shree toh maan jayenge pr hmare Pita shree ko aap ache se janti ha..vo nhi manenge", Yuvraj ne unhe smjhate huye kaha
"hmein bht dr lg rha…knhi hmare is qadam se yeh nfrt aur bdh gyi toh", Gujriya ne apna sr Yuvraj k sine pe rkhte huye bola
"agr aap hum se prem krti ha toh aaj hmare sath yahan se chlengi",Yuvraj ne unki ankhon mein dekhte huye kaha
"jee..hum taiyar ha", Gujriya ne unki haan mein haan rkhte huye kaha
Vo dono vahan se niklne hi lgte ha k tbhi vahan Maharaja Somender Singh aur unke sipahi vahan a gye….aur Sath hi sardar Jaswant bhi apne sathiyo k sath a gye…un logo ne charo trf se Yuvraj aur Gujriya ko gher liya..
Maharaja Somendar Singhgusse se talwar le k unki trf aye aur jaise hi vaar krne lge SardarJaswant ne unka vaar rok diya
"Maharaj bche ha….maaf kr dijiye", Jaswant ne samaanpurvak kaha
"Dur hto Jaswant..in logo ne hmari izzat hmare samann ko tes puhnchayi ha..hum inhe shma nhi kr skte",Maharaja ne krodh bhri avaz se kaha
T s bhi
Itna kehte hi unhone ne Gujriya pr Talwar se vaar kiya pr Yuvraj beech mein a gye jisse Talwar unke aar paar ho gyi….aur unki mauke pe maut ho gyi…Apne bête ki maut se bhi nhi pighle Maharaj….unhone apne tawar k dusre vaar se Gujriya ko bhi maar diya..
Sardar Jaswantbeti ki maut se toot gye…foot foot k rone lge….dusri trf banjaro aur Suryavanshio mein tkrao ho gya..vo log ek dusre k khoon k pyase ho gye….is khooni takraw ko rokne k liye Bde Maharaj Bikram Pratap Singh ko beech pe ana pda…
Unhone ek sabha bulayi…ek trf Suryavanshi toh dusri trf Bnajare khde the…..ek dusre k khoon k pyase ho chuke dono trf k log ek dusre pe ilzaam lga rge the…jhuthi shaan k chlte 2 masoomon ko mara gya tha….
Maharaja Bikram Pratap Singh ne sbko shant krate huye aur shanti ko kayam rkhne k liye ek kathore faisla liya….
"hum yeh faisla lete ha..aaj se Bnajaro aur Suravanshiyo k beech koi sambandh nhi hoga….Surajgdh ki sarhad abse Banjaro ki bsti se pehle hogi..yeh dono 2 alg rajya honge….Surajgadh se koi Banjaro ki bst nhi jayega aur na hi Vahan se koi yahan ayega..agr aisa hua th use maut ki sza di jayegi….aur dono hi trf se sipahi apni apni aur se is baat khyaal rkhenge…..aur dono biradriyo k beech abse sb sambdh khtm..aur agya ka palan ho"
Us din dono jgh k andr ek deewar kheench di gyi….aur yeh ek Rajya 2 bhago mein bnt gye….vo din aur aaj ka din yeh dushmani badastoor jari ha…aur aaj halaat ko dekhte huye dono hi trf police chowki bn gyi ha…jo dono trf se is LOC ki hifazat krte ha
Lo g ye h kahani..ab dekhte kya mod leti ha 2016 mein…
Janne k liye intezar kijiye agli kdi ka
…
Toh bht der baad mein apne psndida kirdaro k sath ek khaani le k ayi hu…umeed ha sbko psnd ayegi….
Yeh ha nfrat aur dushamni k beech plte pyar ki…kahan jayegi sb zindagiya
Toh kaisa lga
Mujhe apne kimti drishtikon(view) batyiye
Bht sneh
Mithi